Gurutwakarshan
-Varsha Mudlapur
Magua ki neend roz ki tarah apni ma ki daant sun kar tooti. Wo zameen pe kabhi ek taraf ko palte kabhi
dusri taraf ko or uski har palat ke saath Ma ki awaaz or tez hoti jaaye. Neend khulne pe Magua ka pet bhi
zor se gudgudaane lagta. Ab Ma agar chup bhi ho jaaye, is pet ka kya kare bechara. Jab Magua se roka
na gaya to wo tezi se utha or apna lota dhundhne laga. Kuch samay beeta lekin lota na mila. Ab to
Magua ko lag rha tha ki kahin lungi me he halka na hona pad jaaye. Use pareshan dekh uski Ma baahar
aayi or sir pe ek chapet maarte hue boli “yahin to rakha hai or idhar udhar kood rha hai. Ye le or ja jaldi
school Jana hai”. Lota milne ki khushi to bahut hui lekin use manaane ka samay na tha nahi to abhi to sirf
Ma se chapet mili hai agar gandi lungi Ma ko dhoni padi to ghar se nikala bhi ja skta hai.
Use hamesha se lagta tha ki shayad Ma ne Babuji ko isiliye ghar se nikaal diya hoga or agla number uska
he hai.
Magua daudta hua khet se aya or jaldi jaldi naha ke apne school ka kapda dhundhne laga. Ma ki madad
se wo kaam bhi hua or wo daudta hua school ke liye nikal gaya. Uska school ek sarkaari school tha jiska
dhaancha uske school ke kapdon ki tarah fati purani haalat me tha. Bagal me he gaon ke ek bade
zameendaar ne English medium ka bada, do maale ka school, pichle saal khola hai. Usme jaate bacche
chamakte hue kapde pehen’te hain. Kuch to apne babuji ke saath scooter pe bhi aate the.
Magua school ke darwaze pe aake dheere ho jata kyunki use bagal ke school or uske bacchon ko ek
jhalak dekhna hota tha. Use khud nahi pata hota tha ki use accha lag rha hai ya kharaab. School to
waakayi bahut sundar tha or kapde bhi chamchamaate the lekin wo kyun us school me nahi ja pata, uske
kapde kyun fate hue hain, babuji ka school chhodna to door uske babuji kon hai use wahi nahi pata. Ye
sab sochte hue uski raftaar dheere ho jaati or wo dheere dheere nange pairon ko ghaseet’ta hua school
me ghus jata.
Magua ghar aya to uska dhyan kahin or tha. Ma use aise pareshan hote dekhti to pehle to ghabra jaati ki
ye kisi se lad ke aa gaya hamesha ki tarah lekin jab iske sahi salaamat chehre ko dekhti to use raahat
milti ki nahi wo to nahi hua kam se kam.
Ma ne pooch he liya, “kya hua re kaahe muh latkaaye hai”. Magua ko shayad sunaayi nahi diya wo kisi
baat ko leke bahut chintit tha. Ma ne fir se poocha lekin abki baar apni subeh waali awaaz me jisse wo
use roz uthaya karti. Magua us awaaz se na chaahte hue bhi dar ke kaanpne lagta tha. Wo Ma ki taraf
dekha or bola, “Ma tumko pata hai humlogon ki aisi haalat kyun hai? Bagal ke school waale Ameer or
hum gareeb kyun hai? Humaare he Babuji waapis kyun nhi aate uska kaaran maaloom hai Ma? Humaari
chhat baarish me kyun chooti hai pata hai kya Ma?”
Ma chup chaap Magua ka muh dekh rhi thi. Magua thodi der shaant rha fir dheere se bola, Gitti. Ma boli
“Kya?” Magua bola, “Haan Ma, Gitti, Gitti kaaran hai in sab ka. Ruk tujhey angreji nahi smjh aayegi main
Hindi me batata hun.”
Ye bol ke Magua apne fate baste se ek fati purani kitaab nikaala. Usme kaafi panne palatne ke baad bola,
“haan mila. Gurutwakarshan. Ye hai Ma ye kaaran hai in sab ka. Pata hai Ma ye itni kharaab cheez hai ki
har aadmi pe alag kaam karti hai. Mote ko bhaari banaa deti hai patle ko halka bana deti hai. Sab pe ek
jaise kaam nahi karti. Tum girti kyun ho, iski wajah se. Uthne me dard kyun hota hai iski wajah se, bag

Â
fat’ta nahi agar gurutwakarshan isko bhaari na banaata, kapde nahi fat’te agar Gurutwakarshan ki wajah
se latakte nahi rehte, pakka ameeron pe kam Gurutwakarshan lagta hoga jo unke kapde or baste itne
chamchamaate rehte hain, school toot’ta nahi agar ye nahi hota. Mujhey to lagta hai Ma, duniya me jitni
bhi dikkat hai sab isi ki wajah se hai. Ye nahi hota to sab ek se hote, sab khush hote Ma. Babuji bhi aaj
humaare saath hote agar Gurutwakarshan unko apni taraf kheencha na hota”
Ma Magua ke babuji ke baare me sunte he man he man gussayi lekin Magua ki baton use us kale beete
ateet se baahar kheench le aayi. Wo khush hote hue Magua ke baalon ko sawaarte hue boli, “tujhey to
bahut kuch pata hai re.”